hañsnā  āh-o-fuġhāñ  se  sīkhā  hai
ye  hunar  bhī  jahāñ  se  sīkhā  hai
har  ḳhushī  se  nazar  churā  lenā
ik  ajab  mehrbāñ  se  sīkhā  hai
dauḌ  se  ḳhud  ko  yuuñ  alag  rakhnā
manzil-e-be-nishāñ  se  sīkhā  hai
sab  se  kahnā  ḳhushī  ke  aañsū  haiñ
ye  bharam  āstāñ  se  sīkhā  hai
aise  ḳhud  ko  aziyyateñ  denā
tū  ne  'farruḳh'  kahāñ  se  sīkhā  hai