Asghar Saleem

ghubar sa hai sar-e-shaKH-sar kahte hain

Asghar Saleem

ġhubār hai sar-e-shāḳh-sār kahte haiñ

chalā hai qāfila-e-nau-bahār kahte haiñ

badal ga.ī haiñ jahāñ par vafā sab rasmeñ

ujaḌ ga.e haiñ diloñ ke dayār kahte haiñ

is ek baat se gulchīñ dil dhaḌaktā hai

ki ham sabā se hadīs-e-bahār kahte haiñ

ye hajv-e-mai to kisī maslahat se hai varna

faqīh-e-shahr bhī hai bāda-ḳhvār kahte haiñ

jise kabhī sar-e-mimbar na kah sakā vaa.iz

vo baat ahl-e-junūñ zer-e-dār kahte haiñ

'salīm' sāya-e-gul ho ki saḳhtī-e-zindāñ

junūñ hai sheva-e-mardān-e-kār kahte haiñ

Top Urdushayar.com