gulshan  gulshan  shola-e-gul  kī  zulf-e-sabā  kī  baat  chalī
harf-e-junūñ  kī  bañd-e-girāñ  kī  jurm-o-sazā  kī  baat  chalī
zindāñ  zindāñ  shor-e-junūñ  hai  mausam-e-gul  ke  aane  se
mahfil  mahfil  ab  ke  baras  arbāb-e-vafā  kī  baat  chalī
ahd-e-sitam  hai  dekheñ  ham  āshufta-saroñ  pe  kyā  guzre
shahr  meñ  us  ke  band-e-qabā  kī  rañg-e-hinā  kī  baat  chalī
ek  huā  dīvāna  ik  ne  sar  teshe  se  phoḌ  liyā
kaise  kaise  log  the  jin  se  rasm-e-vafā  kī  baat  chalī