kū-ba-kū  kab  se  hai  ik  sarsar-e-ġham  āvāra
ab  kidhar  jaa.eñ  tire  shahr  meñ  ham  āvāra
kyā  faqīhān-e-haram  ko  ye  ḳhabar  hai  yaaro
ham  ko  rakhte  haiñ  ġhazālān-e-haram  āvāra
surḳh-rū  ahd-e-vafā  se  na  huā  ho  farhād
bū-e-ḳhūñ  hai  jo  sar-e-ḳhalvat-e-jam  āvāra
ham  chale  aa.e  to  but-ḳhāne  par  kyā  kyā  guzrī
barahman  sar-ba-garebāñ  hai  sanam  āvāra
sar-nigūñ  haiñ  mire  fitrāk-e-ġhazal  meñ  vo  ġhazāl
jin  ko  rakhtī  thī  kabhī  lazzat-e-ram  āvāra
surḳhī-e-ḳhār-e-muġhīlāñ  kabhī  aisī  to  na  thī
aaj  guzre  haiñ  ye  kis  raah  se  ham  āvāra
zulf-e-āvāra  uḌā  le  ga.ī  dil  ko  bhī  'salīm'
varna  pahle  vo  javāñ-marg  thā  kam  āvāra