gulshan  gulshan  sho.ala-e-gul  kī  zulf-e-sabā  kī  baat  chalī
harf-e-junūñ  kī  bañd-e-girāñ  kī  jurm-o-sazā  kī  baat  chalī
zindāñ  zindāñ  shor-e-junūñ  hai  mausam-e-gul  ke  aane  se
mahfil  mahfil  ab  ke  baras  arbāb-e-vafā  kī  baat  chalī
ahd-e-sitam  hai  dekheñ  ham  āshufta-saroñ  par  kyā  guzre
shahr  meñ  us  ke  band-e-qabā  kī  rañg-e-hinā  kī  baat  chalī
ek  ho  dīvāna  ik  ne  sar  teshe  se  phoḌ  liyā
kaise  kaise  log  the  jin  se  rasm-e-vafā  kī  baat  chalī
TuuT  ga.iiñ  naġhmoñ  kī  tanābeñ  sher  ke  ḳheme  raakh  hue
bazm-e-suḳhan  meñ  jab  bhī  'salīm'  is  sho.ala-navā  kī  baat  chalī