Saeed Ahmad Akhtar

but kya hain bashar kya hai ye sab silsila kya hai

Saeed Ahmad Akhtar

Pishin, Balochistan, Pakistan

1932-2013

but kyā haiñ bashar kyā hai ye sab silsila kyā hai

phir maiñ huuñ mirā dil he mirī ġhār-e-hirā hai

jo āñkhoñ ke aage hai yaqīñ hai ki gumāñ hai

jo āñkhoñ se ojhal hai ḳhalā hai ki ḳhudā hai

taare mirī qismat haiñ ki jalte hue patthar

duniyā mirī jannat hai ki shaitāñ sazā hai

dil dushman-e-jāñ hai to ḳhirad qātil-e-īmāñ

ye kaisī balāoñ ko mujhe sauñp diyā hai

sunte raheñ ārām se har jhuuT to ḳhush haiñ

aur Tok deñ bhūle se to kahte haiñ burā hai

shaitān bhī rahtā hai mire dil meñ ḳhudā bhī

ab aap kahīñ dil sadā kis sadā hai

'aḳhtar' na karo un se gilā jaur-o-jafā

apnī bhī ḳhudā jaane havas hai ki vafā hai

Top Urdushayar.com