Farhat Ehsas

asir-e-KHak bhi hun KHak se riha bhi hun main

Farhat Ehsas

Bahraich, Uttar pradesh, India

1952

asīr-e-ḳhāk bhī huuñ ḳhaak se rihā bhī huuñ maiñ

maiñ rahā huuñ to dekho marā paḌā bhī huuñ maiñ

maiñ ek lamha-e-hāzir bilā-siyāq-o-sabāq

aur apne lamha-e-hāzir hāfiza bhī huuñ maiñ

maiñ ek fard-e-saf-ārā ma.āshre ke ḳhilāf

aur ek fard meñ puurā muāshra bhī huuñ maiñ

nikal bhī aayā huuñ us kūcha-e-taġhāful se

aur us ke dar pe bahut paḌā huā bhī huuñ maiñ

maiñ apnī ḳhaak meñ lat-path paḌā huā huuñ abhī

magar na bhuul ki parvarda-e-havā bhī huuñ maiñ

kisī bhī lafz ke jaisā nahīñ hai lafz mirā

idhar-udhar se bahut kahā-sunā bhī huuñ maiñ

agarche Thiik se banda bhī maiñ nahīñ 'ehsās'

magar kabhī kabhī ik lamha-e-ḳhudā bhī huuñ maiñ

Top Urdushayar.com