ġhalat  nahīñ  hai  dil-e-sulh-ḳhū  jo  boltā  hai
magar  ye  harf-e-baġhāvat  lahū  jo  boltā  hai
mire  ujaḌne  kī  takmīl  kab  huī  jānāñ
daraḳht-e-yād  kī  Tahnī  pe  tū  jo  boltā  hai
sar-sukūt-e-adam  kis  ke  hoñT  hilte  haiñ
koī  to  hai  pas-e-dīvār-e-hū  jo  boltā  hai
zamāne  terī  haqīqat  samajh  meñ  aatī  hai
havā  kī  thaap  se  ḳhālī  subū  jo  boltā  hai
nafāsatoñ  kā  qarīna  hai  terī  ḳhāmoshī
magar  ye  jeb  kā  tār-e-rafū  jo  boltā  hai
idhar  ye  kaan  haiñ  qahr-e-ḳhizāñ  jo  sunte  haiñ
udhar  vo  peḌ  hai  sehr-e-numū  jo  boltā  hai
nafas  ke  jaal  meñ  kab  qaid  ho  sakā  'arshad'
vo  ik  parind-e-fanā  kū-ba-kū  jo  boltā  hai