Farhat Ehsas

kabhi KHuda kabhi insan rok leta hai

Farhat Ehsas

Bahraich, Uttar pradesh, India

1952

kabhī ḳhudā kabhī insān rok letā hai

maiñ jab bhī jaatā huuñ darbān rok letā hai

baġhair chaak kiye ghar se maiñ agar niklūñ

to mujh ko merā garebān rok letā hai

maiñ jab bhī jism se izn-e-vidā.a māñgtā huuñ

vo kah ke mujh ko mirī jaan rok letā hai

bas ek jast meñ duniyā ke paar utar jā.ūñ

magar mujhe merā sāmān rok letā hai

bahāna chāhiye mujh ko bhī koī rukne

so vo ba-hīla-e-āsān rok letā hai

maiñ apne kufr se sharminda huuñ ki us taraf

mire qadam mirā īmān rok letā hai

farār ho ga.ī hotī kabhī ruuh mirī

bas ek jism ehsān rok letā hai

kabhī to ā.eñge 'ehsās-jī' bai.at meñ

hameñ yahī bas ik imkān rok letā hai

Top Urdushayar.com