mire  ḳheme  ḳhasta-hāl  meñ  haiñ  mire  raste  dhund  ke  jaal  meñ  haiñ
mujhe  shaam  huī  hai  jañgal  meñ  mire  saare  sitāre  zavāl  meñ  haiñ
mujhe  rañgoñ  se  koī  shaġhl  nahīñ  mujhe  ḳhushbū  meñ  koī  daḳhl  nahīñ
mire  naam  kā  koī  naḳhl  nahīñ  mire  mausam  ḳhāk-e-malāl  meñ  haiñ
ākāsh  hai  qadmoñ  ke  nīche  dariyā  kā  paanī  sar  par  hai
ik  machhlī  naav  pe  baiThī  hai  aur  sab  machhuvāre  jaal  meñ  haiñ
ye  duniyā  akbar  zulmoñ  kī  ham  majbūrī  kī  anārkalī
ham  dīvāroñ  ke  biich  meñ  haiñ  ham  narġha-e-jabr-o-jalāl  meñ  haiñ
mire  dil  ke  nuur  se  baḌh  ke  nahīñ  mirī  jaañ  ke  surūr  se  baḌh  ke  nahīñ
jo  maah  o  mehr  falak  par  haiñ  jo  laal  o  guhar  pātāl  meñ  haiñ
ik  maġhrib  aayā  mashriq  meñ  mirī  fauj  ke  TukḌe  kar  Daale
ab  aadhe  sipāhī  junūb  meñ  haiñ  aur  aadhe  sipāhī  shumāl  meñ  haiñ
īmān  kī  chhāgal  phuuT  ga.ī  āmāl  kī  lāThī  TuuT  ga.ī
ham  aise  gallabānoñ  ke  sab  naaqe  ḳhauf-e-qitāl  meñ  haiñ