Farhat Ehsas

kis saliqe se wo mujh mein raat-bhar rah kar gaya

Farhat Ehsas

Bahraich, Uttar pradesh, India

1952

kis salīqe se vo mujh meñ rāt-bhar rah kar gayā

shaam ko bistar kholā sub.h ko tah kar gayā

vaqt-e-ruḳhsat thā hamāre bāhar andar itnā shor

kuchh kahā thā us ne lekin jaane kyā kah kar gayā

qatl hote sab ne dekhā thā bhare bāzār meñ

ye na dekhā ḳhuuñ mirā kis taraf bah kar gayā

Dūbnā thā so Duubā chāñd us ke vasl

raat ko lekin hamesha shab muhayyā kar gayā

sirf miTTī ho ke rahne meñ tahaffuz hai yahāñ

jis ne koshish makāñ hone bas Dhah kar gayā

chaal jab bhī mil nahīñ paa.ī zamīñ chaal se

kaisā kaisā sar-buland aayā thā aur Dhah kar gayā

dukh ā.īna ulaT detā hai har 'ehsās' ko

ḳhush gayā itnā koī jitne dukh sah kar gayā

Top Urdushayar.com