Arshad Abdul Hamid

junun ke taur hum idrak hi se bandhte hain

Arshad Abdul Hamid

Tonk, Rajasthan, India

junūñ ke taur ham idrāk hī se bāñdhte haiñ
ki tīr-o-tār ko fitrāk hī se bāñdhte haiñ
bayoñ ko shāḳh-e-gul-e-tar hī raas aatī hai
agarche ghoñsle ḳhāshāk hī se bāñdhte haiñ
falak se nūr-o-tamāzat to lete haiñ lekin
shajar jaḌoñ ko faqat ḳhaak hī se bāñdhte haiñ
lahū se sarf-e-nazar kī ajab rivāyat hai
umīd-e-nashsha yahāñ taak hī se bāñdhte haiñ
ham apne hāthoñ pe itrāte haiñ magar 'arshad'
tilism-e-kūza-garī chaak hī se bāñdhte haiñ
Top Urdushayar.com