na  manzil  hai  na  manzil  kā  nishāñ  hai
hamārā  kārvāñ  phir  bhī  ravāñ  hai
usī  Daalī  pe  apnā  āshiyāñ  hai
taḌaptī  jis  jagah  barq-e-tapāñ  hai
huī  haiñ  kārgar  ġhairoñ  kī  chāleñ
tire  lab  par  nahīñ  hai  ab  na  haañ  hai
rahe  sayyād  har  dam  jis  chaman  meñ
vahāñ  ġham  kī  hikāyat  jāvedāñ  hai
surūr-o-naġhma  haiñ  ab  kal  kī  bāteñ
yahāñ  to  ab  faqat  āh-o-fuġhāñ  hai
unheñ  kyuuñ  rañj  ho  jaur-o-sitam  par
sitamrānī  to  ḳhū-e-mahveshāñ  hai
nahīñ  insāñ  kī  qīmat  koī  'rif.at'
purāne  daur  kī  baat  ab  kahāñ  hai