yaad  aatī  hai  tirī  yuuñ  mire  ġham-ḳhāne  meñ
khil  uThe  jaise  gulistāñ  kisī  vīrāne  meñ
apne  dil  hī  meñ  makīñ  dekhā  use  ham  jis  ko
DhūñDte  phirte  rahe  ka.aba-o-but-ḳhāne  meñ
dil  meñ  the  shoa.la-fishāñ  hasrat-o-armāñ  shab-e-ġham
saiñkaḌoñ  sham.a  farozāñ  thiiñ  siyah-ḳhāne  meñ
the  tirī  bazm  meñ  sab  jām-ba-kaf  ai  saaqī
ik  hamīñ  tishna-dahan  the  tire  maiḳhāne  meñ
tīrgī  meñ  bhī  rahā  jashn-e-charāġhāñ  kā  samāñ
barq  ke  sho.ale  farozāñ  rahe  kāshāne  meñ
mire  afsāne  ko  afsāna  na  samjho  yaaro
hai  haqīqat  hī  haqīqat  mire  afsāne  meñ
Daal  dī  sāqī-e-kausar  ne  azal  se  'rif.at'
bāda-e-ishq-o-mohabbat  mire  paimāne  meñ