tirī  zulf  ke  pech-o-ḳham  dekhte  haiñ
hamīñ  jānte  haiñ  jo  ham  dekhte  haiñ
ye  hālat  huī  hai  junūñ  meñ  hamārī
ḳhushī  dekhte  haiñ  na  ġham  dekhte  haiñ
bahut  dekh  lī  hai  zamāne  kī  gardish
muqaddar  kā  ab  zer-o-bam  dekhte  haiñ
tasavvur  meñ  haiñ  jin  ke  jalve  tumhāre
vo  husn-e-do-ālam  ko  kam  dekhte  haiñ
jhagaḌte  haiñ  shaiḳh-o-barahman  magar  ham
tamāshā-e-dair-o-haram  dekhte  haiñ
sar-e-bazm  hai  ehtiyāt  aaj  aisī
na  tum  dekhte  ho  na  ham  dekhte  haiñ
kisī  chashm-e-maigūñ  meñ  ham  aaj  'rif.at'
chhalakte  hue  jām-e-jam  dekhte  haiñ