tham  tham  ke  bārisheñ  ab  jalva  dikhā  rahī  haiñ
is  par  tumhārī  yādeñ  ham  ko  satā  rahī  haiñ
dil  kis  tarah  rahegā  āḳhir  hamāre  bas  meñ
sāvan  kī  bhīnī  rut  hai  pariyāñ  bhī  gā  rahī  haiñ
būñdeñ  haiñ  yā  shajar  par  sham.eñ  huī  haiñ  raushan
ye  Dāliyāñ  bhī  dekho  kyā  muskurā  rahī  haiñ
dhartī  pe  sabz  chādar  allāh  ne  bichhā  dī
aao  bahāreñ  tum  ko  vāpas  bulā  rahī  haiñ
jhīñgur  ke  mast  gītoñ  kā  shor  hai  fazā  meñ
nadiyoñ  kī  pā.eleñ  bhī  naġhme  luTā  rahī  haiñ