dil-e-tanhā  meñ  ab  ehsās-e-mahrūmī  nahīñ  shāyad
tirī  duurī  bhī  ab  dil  ke  liye  duurī  nahīñ  shāyad
jahāñ  din  meñ  añdherā  ho  vahāñ  rātoñ  kā  kyā  kahnā
yahāñ  ke  chāñd  sūraj  meñ  chamak  hotī  nahīñ  shāyad
maiñ  jab  bistar  se  uThtā  huuñ  to  yuuñ  mahsūs  hotā  hai
mire  andar  kī  duniyā  raat  bhar  sotī  nahīñ  shāyad
ye  kis  sahrā  ke  kis  goshe  meñ  ḳhema  taan  baiThe  haiñ
kisī  bhī  samt  koī  rahguzar  jaatī  nahīñ  shāyad
ham  apnī  zindagī  kī  dhuup  meñ  tapne  ke  aadī  haiñ
hameñ  ThanDī  havā  barsoñ  se  raas  aatī  nahīñ  shāyad
'habīb'  is  zindagī  ke  pech-o-ḳham  se  ham  bhī  nālāñ  haiñ
hameñ  jhūTe  nagīnoñ  kī  chamak  bhātī  nahīñ  shāyad