shart-e-dīvār-o-dar-o-bām  uThā  dī  hai  to  kyā
qaid  phir  qaid  hai  zanjīr  baḌhā  dī  hai  to  kyā
ab  bhī  tan  teġh  se  laḌ  jaa.e  to  chhan  boltā  hai
vaqt  ne  is  pe  agar  dhuul  jamā  dī  hai  to  kyā
mere  ḳhusrav  ne  mujhe  ġham  bhī  ziyāda  baḳhshā
daulat-e-ishq  agar  mujh  ko  sivā  dī  hai  to  kyā
ham  bhī  tayyār  haiñ  phir  jaan  luTāne  ke  liye
sāmne  phir  vahī  kuufa  vahī  vaadī  hai  to  kyā
mujrim-e-dil  ko  kahāñ  faisla  sunñe  kā  dimāġh
us  ne  baḳhshā  hai  to  kyā  aur  sazā  dī  hai  to  kyā