gul-posh  bām-o-dar  haiñ  magar  ghar  meñ  kuchh  nahīñ
ye  sab  nazar  kā  nuur  hai  manzar  meñ  kuchh  nahīñ
maujoñ  kā  iztirāb  ho  yā  gauhar-e-hayāt
ehsās  kā  fusūñ  hai  samundar  meñ  kuchh  nahīñ
parchhā.iyoñ  kā  naach  hai  vīrān  sahn  meñ
āseb-e-shab  hai  aur  mire  ghar  meñ  kuchh  nahīñ
manzil  se  be-niyāz  chale  jā  rahe  haiñ  log
bhaTke  huoñ  kī  aañkh  ke  patthar  meñ  kuchh  nahīñ
din  raat  jhāñktā  hai  darīchoñ  se  zehn  ke
afkār  kā  jamāl  hai  paikar  meñ  kuchh  nahīñ
'zauqī'  galī  galī  meñ  haiñ  takiye  fareb  ke
aġhrāz  kī  sadā  hai  qalandar  meñ  kuchh  nahīñ