be-ruḳhī  ne  us  kī  kaisā  ye  ishārā  kar  diyā
vaqt  se  pahle  qayāmat  kā  nazārā  kar  diyā
laakh  kahne  par  bhī  us  ne  ruḳh  pe  rakkhā  thā  naqāb
ik  jhalak  kī  aarzū  ko  nāgavārā  kar  diyā
chal  paḌe  dāman  jhaTak  kar  ham  ko  pīchhe  chhoḌ  kar
tanhā  āġhāz-e-safar  par  kyuuñ  dobāra  kar  diyā
ḳhud  hī  lau  ummīd  kī  us  ne  jagā.ī  aur  phir
toḌ  kar  ummīd  ḳhud  hī  be-kināra  kar  diyā
kaisī  bedardī  se  toḌā  us  ne  naata  pyaar  kā
kyuuñ  jahāñ  meñ  phir  'sabā'  ko  be-sahārā  kar  diyā