mirī  zindagī  hai  tanhā  tumheñ  kuchh  asar  to  hotā
koī  dost  tum  sā  hotā  koī  ham-safar  to  hotā
ye  tamām  saa.e  apne  chalūñ  kab  talak  sameTe
koī  ham-nashīñ  to  hotā  koī  chāra-gar  to  hotā
kabhī  kuchh  gumān  hotā  mujhe  manziloñ  kā  apnī
jise  apnā  ham  ne  samjhā  vahī  rāhbar  to  hotā
maiñ  kahāñ  se  lā.ūñ  qismat  jo  banūñ  tumhāre  qābil
ki  tumhāre  ghar  ke  aage  mirā  koī  ghar  to  hotā
hai  ajiib  kashmakash  meñ  ye  'sabā'  kī  bandagī  bhī
kabhī  un  ke  dar  ke  laa.eq  kabhī  merā  sar  to  hotā