ghaTā.eñ  ghirtī  haiñ  bijlī  kaḌak  ke  girtī  hai
ye  kis  kī  pyaas  hai  jo  be-qarār  phirtī  hai
ajiib  ḳhauf  kī  bastī  hai  ye  diyā  hī  nahīñ
havā  bhī  ḳhvāhish-e-dil  ko  chhipā.e  phirtī  hai
nazar  na  pher  nadāmat  ko  sair  hone  de
ye  badlī  dil  meñ  kahāñ  roz  roz  ghirtī  hai
sameT  letī  hai  har  shai  ko  apne  paikar  meñ
shabīh  kis  kī  hai  jo  putliyoñ  meñ  phirtī  hai
havelī  chhoḌne  kā  vaqt  aa  gayā  'arshad'
sutūñ  larazte  haiñ  aur  chhat  kī  miTTī  girtī  hai