shikva  nasīb  kā  na  kare  baar  baar  tū
mushkil  hayāt  hañs  ke  hamesha  guzār  tū
kyuuñ  fikr  hāl-o-māzī  kī  kartā  hai  roz-o-shab
sab  us  ko  iḳhtiyār  hai  be-iḳhtiyār  tū
māyūs  kyuuñ  jafāoñ  se  hotā  hai  be-vajah
sab  ke  gale  meñ  Daal  vafāoñ  ke  haar  tū
ḳhuddār  ban  ḳhudī  kī  talab  le  ke  jī  sadā
be-fikr  us  pe  jaan  bhī  kar  de  nisār  tū
vo  sar-parast  hai  to  'sabā'  tujh  ko  naaz  hai
apnā  maqām  jaan  le  ḳhud  ko  sañvār  tū