ḳhud  ko  tamāshā  ḳhuub  banātā  rahā  huuñ  maiñ
qīmat  bhī  sādgī  kī  chukātā  rahā  huuñ  maiñ
yuuñ  bhiiḌ  meñ  to  luTnā  baḌī  aam  baat  hai
sahrā  meñ  ḳhud  ko  tanhā  luTātā  rahā  huuñ  maiñ
manzil  kī  justujū  bhī  ajab  shai  hai  dosto
Thokar  se  zaḳham  apne  lagātā  rahā  huuñ  maiñ
kar  ke  kisī  ko  ḳhvār  bahut  hañstā  hai  bashar
sah  ke  sitam  bhī  ḳhud  ko  hañsātā  rahā  huuñ  maiñ
kartā  thā  jab  'sabā'  ko  zamāna  bhī  nā-murād
himmat  se  azm  aur  baḌhātā  rahā  huuñ  maiñ