Arshad Abdul Hamid

charagh-e-dard ki sham-e-tarab pukarti hai

Arshad Abdul Hamid

Tonk, Rajasthan, India

charāġh-e-dard ki sham-e-tarab pukārtī hai

ik aag lab-e-dariyā-e-shab pukārtī hai

adū se jaan bachchī hai na dost bichhḌe haiñ

ye shām-e-giryā hameñ be-sabab pukārtī hai

charāġh-e-shauq pe rah rah ke nuur aatā hai

havā ba-tarz-e-ruḳh-o-chashm-o-lab pukārtī hai

shahīd-e-āb-o-namak haiñ so baḌhte jaate haiñ

shikast o fat.h piyādoñ ko kab pukārtī hai

sadā.eñ de ke bulātī hai shāh-bānu-e-shahr

faqīr jis ke haiñ dekheñ vo kab pukārtī hai

maiñ jaise din tab-o-tāb se pareshāñ huuñ

ba-vaqt-e-shām ḳhushī ik ajab pukārtī hai

ham aise kaun anokhe tulūa hote haiñ

jo ham ko dekh ke duniyā ġhazab pukārtī hai

Top Urdushayar.com