Majid-ul-Baqri

soch ke be-samt darwazon pe jab patthar laga

Majid-ul-Baqri

soch ke be-samt darvāzoñ pe jab patthar lagā
maiñ simaT kar uḌ gayā ḳhālī badan kā ghar lagā
ghūrtī haiñ har taraf be-nūr āñhkeñ kis liye
ā.īna-ḳhāne meñ āndhe se kaho chakkar lagā
yaad meñ kapḌe badalne ke liye mujh se chhupā
vo kahīñ bhī thā mujhe kuchh der dariyā par lagā
jin muñDeroñ se kabūtar jhāñkte the raat din
itnī ūñchī ho ga.ī haiñ dekhte hī Dar lagā
ittifāqan ghanTiyāñ sī kaan meñ bajne lagīñ
maiñ akelā hī thā ghar meñ saarā ghar mandar lagā
Top Urdushayar.com