Kabir Ajmal

sharar-e-ishq sadiyon ka safar karta hua

Kabir Ajmal

Banaras, Uttar pradesh, India

1967
sharār-e-ishq sadiyoñ kā safar kartā huā
bujhā mujh meñ mujhī ko be-ḳhabar kartā huā
rumūz-e-ḳhāk bāb-e-mushtahar kartā huā
yūñhī ābād sahrā-e-hunar kartā huā
zamīn-e-justujū gard-e-safar kartā huā
ye mujh meñ kaun hai mujh se mafar kartā huā
abhī tak lahlahātā hai vo sabza aañkh meñ
vo mauj-e-gul ko meyār-e-nazar kartā huā
harīm-e-shab meñ ḳhuuñ rotā huā māh-e-tamām
nigār-e-sub.h qissa muḳhtasar kartā huā
mirī miTTī ko le pahuñchā dayār-e-yār tak
ġhubār-e-jāñ tavāf-e-chashm-e-tar kartā huā
takabbur le rahā hai imtihāñ phir azm kā
sitāroñ ko mire zer-e-asar kartā huā
falak-bosī kī ḳhvāhish tā.ir-e-vahshat ko thī
uḌā hai apnī miTTī darguzar kartā huā
Top Urdushayar.com