alfāz-e-be-sadā  kā  imkān  aa.ine  meñ
dekhā  hai  maiñ  ne  akasr  be-jān  aa.ine  meñ
kamre  meñ  raqs  kartī  chaltī  haiñ  jab  havā.eñ
kuchh  aks  bolte  haiñ  har  aan  aa.ine  meñ
hogā  kisī  kā  chehra  pahchān  kī  lagan  meñ
hoñgī  kisī  kī  āñkheñ  hairān  aa.ine  meñ
tahzīb  kā  tasallut  hai  aa.ine  se  bāhar
tārīḳh  ke  safar  kā  vijdān  aa.ine  meñ
rañgoñ  kī  bārishoñ  se  dhundlā  gayā  hai  manzar
aayā  huā  hai  koī  tūfān  aa.ine  meñ
zinda  haqīqatoñ  kī  hotī  hai  parda-poshī
paltī  hai  jab  ra.ūnat  nādān  aa.ine  meñ
ho  raushnī  ki  zulmat  sahrā  ho  yā  samundar
hotā  hai  zindagī  kā  'irfān'  aa.ine  meñ