rukā  to  raaz  khulā  kab  se  apne  ghar  meñ  thā
ki  merā  ghar  to  mirī  hālat-e-safar  meñ  thā
bahut  ajiib  sā  dukh  thā  jo  tū  ne  mujh  ko  diyā
ki  ik  tabassum-e-maḳhfī  bhī  chashm-e-tar  meñ  thā
iraq  o  shaam  ke  parde  meñ  be-naqāb  huā
tamām  dahr  kā  dukh  ek  nañge  sar  meñ  thā
qadam  urūs-e-vafā  ke  kahāñ  kahāñ  pahuñche
hinā  kā  rañg  sitāroñ  kī  rahguzar  meñ  thā
bas  ek  jur.at-e-rindāna  arsa-e-shab  meñ
palak  jhapakte  hī  maiñ  arsa-e-sahar  meñ  thā
hazār  rañg  the  us  ke  hazār  pahlū  the
judā  judā  vo  jhalaktā  nazar  nazar  meñ  thā
ba-faiz-e-bār-e-malāmat  jhukī  kamar  merī
harā  shajar  thā  magar  shahr-e-be-samar  meñ  thā