latīf  aisī  kuchh  is  dil  kī  shīsha-kārī  thī
ki  ek  raat  bhī  ham  ahl-e-dil  pe  bhārī  thī
hazār  ma.arke  sar  kar  ke  log  haar  ga.e
husain-ibn-e-alī!  fat.h  to  tumhārī  thī
usī  ke  saa.e  meñ  sustā.e  us  ke  bairī  bhī
us  aadmī  meñ  daraḳhtoñ  sī  burdbārī  thī
lahū  kī  aag  meñ  dil  jhulsā  jhulsā  jaatā  thā
darīcha  khol  ke  dekhā  to  barf-bārī  thī
qatīl  ho  ke  bhī  maiñ  apne  qātiloñ  se  laḌā
ki  mere  ba.ad  mire  dostoñ  kī  baarī  thī
shajar  pe  būzne  baiThe  unheñ  bulāte  the
magar  parindoñ  kī  parvāz-e-nāz  jaarī  thī
har  ek  zarb  ko  dil  sah  gayā  magar  'rāhī'
jo  dast-e-gul  ke  sabab  thī  vo  zarb  kaarī  thī