nazar  meñ  sulh  bhī  sar  par  lahū  bhī  dekhtā  hai
mujhe  to  rashk  se  merā  adū  bhī  dekhtā  hai
maiñ  shorishoñ  meñ  bhī  dil  ko  qarīb  rakhtā  huuñ
yahī  to  hai  jo  pas-e-hāv-hū  bhī  dekhtā  hai
charāġh  unhīñ  kī  visātat  se  jal  rahā  hai  magar
kabhī  havāoñ  ko  ye  tund-ḳhū  bhī  dekhtā  hai
mujhe  ye  motī  samundar  yuuñ  hī  nahīñ  detā
vo  mere  hausle  bhī  justujū  bhī  dekhtā  hai
ye  dil  asiir  tire  naqsh-e-pā  kā  hai  lekin
jo  chuuk  jaa.e  to  phir  chār-sū  bhī  dekhtā  hai
mire  junūn  ko  donoñ  aziiz  haiñ  jānāñ
ye  dasht-o-dar  hī  nahīñ  aabjū  bhī  dekhtā  hai
hazār  barg-o-samar  jam.a  ho  ga.e  'arshad'
magar  ye  dil  ki  ma.āl-e-numū  bhī  dekhtā  hai