nafāz-e-nazm  pur-isrār  hai  aisā  nahīñ  lagtā
gulistāñ  meñ  koī  sarkār  hai  aisā  nahīñ  lagtā
yahāñ  har  jeb  meñ  ḳhvāboñ  kī  zar-muhreñ  khanaktī  haiñ
ye  duniyā  dard  kā  bāzār  hai  aisā  nahīñ  lagtā
ham  apnī  jhoñk  meñ  aage  kī  jānib  baḌhte  jaate  haiñ
hamāre  sāmne  dīvār  hai  aisā  nahīñ  lagtā
sar-e-pindār  se  pā-e-junūñ  kā  rabt  ġhā.eb  hai
ye  pīḌhī  barsar-e-paikār  hai  aisā  nahīñ  lagtā
maiñ  jaise  ek  rāh-e-sust-rau  kī  sair  kartā  huuñ
mirī  rānoñ  tale  rahvār  hai  aisā  nahīñ  lagtā
umaD  ke  aayā  to  hai  abr-e-girya  matla-e-jāñ  se
magar  ye  sā.iqa-bardār  hai  aisā  nahīñ  lagtā
ba-yak  jast-e-tasavvur  bazm-e-jānāñ  meñ  pahuñchtā  hai
ye  'arshad'  hijr  kā  bīmār  hai  aisā  nahīñ  lagtā