jins-e-maḳhlūt  haiñ  aur  apne  hī  āzār  meñ  haiñ
ham  ki  sarkār  se  bāhar  haiñ  na  sarkār  meñ  haiñ
aab  aate  hī  chamak  uThte  haiñ  sab  naqsh-o-nigār
ḳhaak  meñ  bhī  vahī  jauhar  haiñ  jo  talvār  meñ  haiñ
sab  faroshinda-e-hairat  huuñ  zarūrī  to  nahīñ
ham  se  be-zār  bhī  is  raunaq-e-bāzār  meñ  haiñ
halqa-e-dil  se  na  niklo  ki  sar-e-khūcha-e-ḳhāk
aish  jitne  haiñ  isī  kunj-e-kam-āsār  meñ  haiñ
ho  chukā  adl  dukāñ  band  kar  ai  tājir-e-haq
ye  sazā  kam  hai  ki  hāzir  tire  darbār  meñ  haiñ