vahī  nā-sabūrī-e-ārzū  vahī  naqsh-e-pā  vahī  jaada  hai
koī  sañg-e-rah  ko  ḳhabar  karo  usī  āstāñ  kā  irāda  hai
vahī  ashk-e-ḳhūñ  ke  gulāb  haiñ  vahī  ḳhaar  ḳhaar  hai  pairahan
na  karam  kī  aas  bujhī  abhī  na  sitam  kī  dhuup  ziyāda  hai
abhī  raushnī  kī  lakīr  sī  sar-e-rahguzār  hai  jāñ-ba-lab
kisī  dil  kī  aas  miTī  nahīñ  kahīñ  ik  darīcha  kushāda  hai
tan-e-zaḳhm  zaḳhm  ko  chhoḌ  de  mire  chāragar  mire  mehrbāñ
dil-e-dāġh  daaġh  kā  hausla  tirī  marhamat  se  ziyāda  hai
jo  nazar  bachā  ke  guzar  ga.e  to  na  aa  sakoge  palaT  ke  tum
baḌī  mohtaram  hai  ye  bebasī  ki  ḳhulūs-e-jāñ  kā  libāda  hai
yahī  zindagī  hai  burī-bhalī  ye  kashīda  sar  ye  barahna-pā
na  ġhubār-e-rāh  se  muzmahil  na  sukūn-e-jāñ  kā  i.aada  hai
mirā  iftiḳhār  vafā  talak  mujhe  raas  aa  na  sakā  'adā'
tirā  naam  jis  par  likhā  rahā  vo  kitāb  aaj  bhī  saada  hai