Khwaja Sajid

jab bhi barish meri aaankhon mein utar jati hai

Khwaja Sajid

Akola, Maharashtra, India

1968
jab bhī bārish merī ā.ankhoñ meñ utar jaatī hai
bādaloñ meñ tirī tasvīr ubhar jaatī hai
Dūbnā jin ko ho maqsūd vo kab sochte haiñ
mauj kis samt se aatī hai kidhar jaatī hai
mere ehsās kī bīnā.ī hai ḳhushbū us kī
aag ban kar merī rag rag meñ utar jaatī hai
din vahī din hai jo biite tirī ummīd ke saath
shab vahī shab jo tire saath guzar jaatī hai
kaisī dīvār uThā dī mire ham-sā.e ne
ab sadā aatī hai koī na udhar jaatī hai
apne atrāf añdheroñ ko basā.e rakhiye
raushnī in se zarā aur nikhar jaatī hai
Top Urdushayar.com