ash.ār  meñ  jo  mere  kiran  justujū  kī  hai
mīrās  ye  bhī  tere  hī  mohar-e-numū  kī  hai
nazroñ  meñ  ab  bhī  haiñ  tire  lahje  ke  māh-o-najm
ab  bhī  samā.atoñ  meñ  chamak  guftugū  kī  hai
terī  pukār  hai  ki  ye  būñdeñ  haiñ  os  kī
āvāz-e-naġhma  hai  ki  sadā  āb-jū  kī  hai
dīvār-e-zabt  TuuT  bhī  saktī  hai  kuchh  karūñ
favvāra  chhūT  jaa.e  vo  hālat  lahū  kī  hai
yuuñ  phuul  to  baraste  na  the  kū-e-yār  meñ
ye  ham  guzarte  haiñ  ki  savārī  adū  kī  hai
pyāsoñ  ko  intiḳhāb  kī  jur.at  na  koī  haq
kyā  pūchhiye  huzūr  ye  kis  ke  subū  kī  hai
'arshad'  vo  sāmne  hī  to  hai  shāḳh-e-dastaras
duurī  bas  ek  jast-e-buland-ārzū  kī  hai