ġhazal  meñ  jaan  paḌī  guftugū  meñ  phuul  khile
mirī  navā  se  dayār-e-numū  meñ  phuul  khile
mire  hī  sher  uchhāle  mire  harīfoñ  ne
mire  tufail  zabān-e-adū  meñ  phuul  khile
unheñ  ye  zom  ki  be-sūd  hai  sadā-e-suḳhan
hameñ  ye  zid  ki  isī  hāo-hū  meñ  phuul  khile
ye  kis  ko  yaad  kiyā  ruuh  kī  zarūrat  ne
ye  kis  ke  naam  se  mere  lahū  meñ  phuul  khile
bahār  ab  ke  na  Thahrī  kisī  bhī  qarye  meñ
na  bāġh-e-ḳhvāb  na  sahrā-e-hū  meñ  phuul  khile
zamīn-e-kūfa  ko  yuuñ  hī  ḳharāb  rahnā  thā
to  kis  liye  ye  sinān-o-gulū  meñ  phuul  khile
mire  junūñ  se  pas-e-dasht-e-jāñ  ġhubār  uThā
mire  lahū  se  dar-e-rū-ba-rū  meñ  phuul  khile
kabhī  kamand  koī  mauj  Daal  de  'arshad'
kabhī  havā-e-sar-e-ābjū  meñ  phuul  khile