havā  ke  vaar  pe  ab  vaar  karne  vaalā  hai
charāġh  bujhne  se  inkār  karne  vaalā  hai
ḳhudā  kare  ki  tirā  azm  barqarār  rahe
zamāna  raah  meñ  dīvār  karne  vaalā  hai
vahī  dikhā.egā  tujh  ko  tamām  daaġh  tire
jise  tū  ā.ina-bardār  karne  vaalā  hai
ye  vaar  to  kabhī  ḳhālī  nahīñ  gayā  merā
koī  to  us  ko  ḳhabar-dār  karne  vaalā  hai
usī  ne  rañg  bhare  haiñ  tamām  phūloñ  meñ
vahī  shajar  ko  samar-dār  karne  vaalā  hai
zamīn  bech  ke  ḳhush  ho  rahe  ho  tum  jis  ko
vo  saare  gaañv  ko  bāzār  karne  vaalā  hai