ḳhyāl-e-bad  se  hama-vaqt  ijtināb  karo
fazā-e-shahr  ko  dānista  mat  ḳharāb  karo
jahāñ  meñ  aa.e  ho  do  din  kī  zindagī  le  kar
har  ik  mahāz  pe  tum  us  ko  kāmyāb  karo
tamām  shahr  hai  Duubā  huā  añdhere  meñ
tum  apne  chāñd  se  chehre  ko  be-naqāb  karo
idhar  ḳhulūs  udhar  buġhz  aur  nafrat  hai
aziiz  kyā  hai  tumheñ  is  kā  intiḳhāb  karo
jo  tum  ne  mujh  ko  diyā  aur  maiñ  ne  tum  ko  diyā
tum  us  kā  baiTh  ke  chaupāl  meñ  hisāb  karo
hijāb  azmat-e-insāiyat  kā  zāmin  hai
raho  kahīñ  bhī  pa  pābandī-e-hijāb  karo
agar  vatan  se  mohabbat  hai  tum  ko  ai  'ibrat'
to  paidā  azm  se  tum  sabz  inqalāb  karo