Ibrat Bahraichi

mere hi dil ko apna ghar samajhna

Ibrat Bahraichi

mire hī dil ko apnā ghar samajhnā
use tum taaj se behtar samajhnā
na karnā ḳhair-ḳhvāhī tum kisī kī
jo behtar ho use behtar samajhnā
na itrānā kabhī shohrat pe apnī
sadā apne ko tum ahqar samajhnā
uḌā de aadmī ko jo bamoñ se
use chañgez kā lashkar samajhnā
hai dhokā denā apne aap ko bas
kisī insān ko be-par samajhnā
bahut nuqsān-deh hogā vo sābit
chamaktī ret ko manzar samajhnā
shab-e-ġham meñ sitāroñ ko ai 'ibrat'
sukūñ-parvar nahīñ aḳhgar samajhnā
Top Urdushayar.com