mire  hī  dil  ko  apnā  ghar  samajhnā
use  tum  taaj  se  behtar  samajhnā
na  karnā  ḳhair-ḳhvāhī  tum  kisī  kī
jo  behtar  ho  use  behtar  samajhnā
na  itrānā  kabhī  shohrat  pe  apnī
sadā  apne  ko  tum  ahqar  samajhnā
uḌā  de  aadmī  ko  jo  bamoñ  se
use  chañgez  kā  lashkar  samajhnā
hai  dhokā  denā  apne  aap  ko  bas
kisī  insān  ko  be-par  samajhnā
bahut  nuqsān-deh  hogā  vo  sābit
chamaktī  ret  ko  manzar  samajhnā
shab-e-ġham  meñ  sitāroñ  ko  ai  'ibrat'
sukūñ-parvar  nahīñ  aḳhgar  samajhnā