be-zamīroñ  ke  kabhī  jhāñse  meñ  maiñ  aatā  nahīñ
mushkiloñ  kī  bhiiḌ  se  hargiz  maiñ  ghabrātā  nahīñ
mujh  se  ab  apnī  zabāñ  se  kuchh  kahā  jaatā  nahīñ
jurm  kar  ke  bhī  koī  mujrim  sazā  paatā  nahīñ
merī  ḳhuddārī  sadā  kartī  hai  merī  rahbarī
maiñ  kabhī  patthar  se  apne  sar  ko  Takrātā  nahīñ
haq-shanāsī  merā  maslak  haq-parastī  merā  kaam
maiñ  khilaunoñ  se  kabhī  dil  apnā  bahlātā  nahīñ
peḌ  jo  detā  hai  saaya  dhuup  meñ  rahtā  hai  vo
raushnī  detā  hai  jo  vo  raushnī  paatā  nahīñ
aadmī  ke  paas  ḳhud  zaatī  masā.il  haiñ  bahut
dūsroñ  ke  ab  masā.il  koī  suljhātā  nahīñ
ārzūoñ  ke  charāġhoñ  ko  bujhā  baiThā  huuñ  maiñ
koī  insāñ  aa  ke  mere  dil  ko  bahlātā  nahīñ