uns  to  hotā  hai  dīvāne  se  dīvāne  ko
koī  apnā  ke  dikhā.e  kabhī  anjāne  ko
ḳhud-kushī  jaisā  koī  jurm  nahīñ  duniyā  meñ
koī  batlātā  nahīñ  jā  ke  ye  parvāne  ko
sāqī-e-vaqt  ne  jab  chhīn  lī  hāthoñ  se  sharāb
maiñ  ne  Takrā  diyā  paimāne  se  paimāne  ko
ḳhāk-zāda  nahīñ  paidā  huā  aisā  koī
jo  haqīqat  meñ  badal  de  mire  afsāne  ko
abrha  jaisā  agar  ho  gayā  paidā  koī
kyā  bachā  pā.eñge  ham  apne  ḳhudā-ḳhāne  ko
ek  mufsid  kī  ye  phailā.ī  huī  hai  afvāh
rāt-bhar  sham.a  se  nafrat  rahī  parvāne  ko