sukūñ-parvar  hai  jazbātī  nahīñ  hai
mirā  hamdam  ḳhurāfātī  nahīñ  hai
jo  kartā  thā  charāġhāñ  sab  ke  ghar  meñ
usī  ke  ghar  diyā-bātī  nahīñ  hai
mirā  mahbūb  hai  mahbūb-e-kāmil
mirā  mahbūb  jazbātī  nahīñ  hai
ta.alluq  rakh  ke  bhī  hai  be-ta.alluq
samajh  meñ  baat  ye  aatī  nahīñ  hai
jise  raas  aa  ga.ī  uzlat-nashīnī
tabī.at  us  kī  ghabrātī  nahīñ  hai
pashemānī  hai  vo  tere  junūñ  kī
mire  ghar  aa  ke  jo  jaatī  nahīñ  hai
usī  ġham  meñ  sadā  rahtā  huuñ  hamdam
tirā  jazba  ināyātī  nahīñ  hai
mujhe  'ibrat'  ḳhushī  is  baat  kī  hai
tirā  maslak  rivāyātī  nahīñ  hai