raah  miltī  hai  ghar  nahīñ  miltā
ghar  mile  bhī  to  dar  nahīñ  miltā
jis  ko  dekhā  thā  maiñ  ne  bachpan  meñ
ab  mujhe  vo  nagar  nahīñ  miltā
dekhtā  huuñ  jo  ḳhud  ko  paanī  meñ
jism  miltā  hai  sar  nahīñ  miltā
mujh  ko  in  zindagī  kī  rāhoñ  meñ
koī  bhī  ham-safar  nahīñ  miltā
jaane  kyā  ho  gayā  hai  mausam  ko
sabz  koī  shajar  nahīñ  miltā
tujh  ko  'salmān'  terī  mehnat  kā
jaane  ab  kyuuñ  samar  nahīñ  miltā