yaad  meñ  terī  do-ālam  ko  bhulānā  hai  hameñ
umr  bhar  ab  kahīñ  aanā  hai  na  jaanā  hai  hameñ
kahte  haiñ  ishq  kā  anjām  burā  hotā  hai
ab  to  kuchh  bhī  ho  mohabbat  ko  nibhānā  hai  hameñ
ḳhalish-e-ishq  se  bechain  hai  dil  ek  taraf
is  pe  yārab  ġham-e-hastī  bhī  uThānā  hai  hameñ
haa.e  vo  aag  jo  mushkil  se  jalī  thī  dil  meñ
aaj  us  aag  ke  sho.aloñ  ko  bujhānā  hai  hameñ
ruḳhsat-e-arz-e-tamannā  nahīñ  miltī  na  mile
qissa-e-shauq  nigāhoñ  se  sunānā  hai  hameñ
aap  kāñToñ  se  jo  bachte  hue  chalte  haiñ  chaleñ
dāman-e-shauq  ko  phūloñ  se  bachānā  hai  hameñ
haa.e  is  sharm-e-mohabbat  kā  burā  ho  'tābāñ'
ishq  kā  raaz  ḳhud  un  se  bhī  chhupānā  hai  hameñ