umr-e-abad  kā  mā-hasal  ishq  kā  daur-e-nā-tamām
haa.e  vo  mastī-e-sahar  haa.e  vo  be-ḳhudī-e-shām
pahle  ma.aal  soch  leñ  ham-safarān-e-sust-gām
merī  sarisht  meñ  nahīñ  ḳhvāhish-e-manzil-o-maqām
tā.ir-e-ḳhasta-bāl  ko  daam  bhī  kunj-e-āshiyāñ
murġh-e-chaman-navard  ko  gosha-e-āshiyāñ  bhī  daam
ab  bhī  ḳhudā-parast  hai  dair-o-haram  kī  qaid  meñ
haa.e  nigāh-e-nā-rasā  haa.e  mazāq-e-nā-tamām
kaif-e-nazar  kī  mastiyāñ  ahl-e-nazar  se  pūchhiye
jaise  koī  pilā  gayā  bāda-e-mushk-bū  ke  jaam
ḳhūbī-o-shān-e-dil-barī  ġhamza-e-nāz  hī  nahīñ
husn  meñ  vo  adā  bhī  hai  jis  kā  nahīñ  hai  koī  naam