Qamar Raza Shahzad

sabhi kuchh KHak mein tahlil hota ja raha hai

Qamar Raza Shahzad

Pakistan

1958

sabhī kuchh ḳhaak meñ tahlīl hotā rahā hai

chalo ye shahr bhī tabdīl hotā rahā hai

kisī guftugū meñ ek vo mafhūm hai jo

haqā.eq se alag tarsīl hotā rahā hai

maiñ kaise tark kar duuñ ab ki ye kār-e-mohabbat

kisī ke hukm ta.amīl hotā rahā hai

maiñ kyā tartīb denā chāhtā huuñ aur mujh se

ye kyā hai jo yahāñ tashkīl hotā rahā hai

nahīñ khultā ye kaisā ḳhauf hai jo lamha lamha

sabhī ke ḳhuun meñ tahlīl hotā rahā hai

Top Urdushayar.com