Sahir Hoshiyarpuri

gham ka sahra na mila dard ka dariya na mila

Sahir Hoshiyarpuri

Hoshiarpur, Punjab, India

1913-1972
ġham kā sahrā na milā dard kā dariyā na milā
ham ne marnā bhī jo chāhā to vasīla na milā
muddatoñ ba.ad jo ā.īne meñ jhāñkā ham ne
itne chehre the vahāñ apnā hī chehra na milā
qatl kar ke vo ġhanīmoñ ko jo vāpas aa.e
apne hī ghar meñ unheñ koī shanāsā na milā
ham bhī jā nikle the sūraj ke nagar meñ ik din
vo añdherā thā vahāñ apnā bhī saaya na milā
tishna-lab yuuñ to zamāne meñ kabhī ham na rahe
pyaas jo dil kī bujhā detā vo dariyā na milā
mil ga.e ham ko sanam-ḳhānoñ meñ kitne hī ḳhudā
DhūñDne par koī banda hī ḳhudā kā na milā
aap ke shahar meñ peḌoñ kā nahīñ koī shumār
do ghaḌī rukne ko lekin kahīñ saaya na milā
sabz pattoñ se milā ham ko bahāroñ kā surāġh
shāḳh-e-nāzuk pe magar koī shagūfa na milā
mustahaq ham tirī rahmat ke na hone paa.e
terī duniyā meñ koī uzr ḳhatā kā na milā
ḳhud-numā.ī ke bhī is daur meñ ham ko 'sāhir'
koī qātil na milā koī masīhā na milā
Top Urdushayar.com