shaam  ko  sub.h  añdhere  ko  ujālā  likkheñ
ālam-e-shauq  meñ  kyā  jāniye  ham  kyā  likkheñ
mudda.ā  likkheñ  talab  likkheñ  tamannā  likkheñ
itnā  kuchh  likh  ke  bhī  ham  ḳhat  ko  adhūrā  likkheñ
koī  ḳhushbū  na  koī  rañg  na  koī  āvāz
dil  ko  ham  sañg  na  samjheñ  to  ise  kyā  likkheñ
ik  isī  soch  meñ  gum  ho  ga.e  kitne  mausam
in  se  ham  haal  zabānī  hī  kaheñ  yā  likkheñ
ham  ko  isrār  ki  zulmat  ko  ziyā  kyuuñ  māneñ
un  kā  ye  hukm  ki  har  shab  ko  saverā  likkheñ
maslahat  ham  ko  bhī  marġhūb  hai  lekin  kab  tak
ḳhaar  ko  phuul  kaheñ  dasht  ko  dariyā  likkheñ
husn-e-ma.asūm  ko  mausūm  kareñ  qātil  se
aur  qātil  ko  zamāne  kā  masīhā  likkheñ
dāstān-e-dil-e-ḳhūñ-gashta  kahāñ  tak  'sāhir'
ab  ġham-e-zāt  se  haT  kar  ġham-e-duniyā  likkheñ